Sunday 24 June 2018


ब्रिजेश की कलम से......

Mere kuch sawal he tumse
Par sawal puch saku is layak nahi hu me
Me janna chahta hu ki........
Kya apni ungliyo se uska hath thaam liya krti thi,
Kya waise hi jese mera thaam liya krti ho?
Kya uske sath hone pr bhul jati thi sari takleef,
Kya wese hi jese mere sath hone pr bhul jati ho?
Kya dikha deti thi apne bachpan ki wo sari tasveer use tum ,
Kya waise hi jese tum mujhe dikha deti ho?
Mere kuch sawal he tumse,
Par sawal puch saku is layak nahi hu me.
Kya uske liye bhi aise hi mannate kr leti thi tum,
Kya waise hi jese tum mere liye kar leti ho?
Kya usse milne ke baad uska bhi hath aise hi thame rakhti thi,
Kya waise hi jese tum mera thame rakhti ho?
Kya uski khaas mulakat aise hi yaad krti thi milne ke baad tum,
Kya waise hi jese tum meri aam mulakat yaad karti ho?
Mere kuch sawal he tumse
Par sawal puch saku is layak nahi hu me
Kya uske saath gujare wo 7 saal khaas the,
Ya mere sath gujare kuch lamhe khaas he?
Kya aise hi hasti muskurati thi har pal tum,
Kya waise hi jese tum mere sath hasti muskurati ho?
Kya aise hi wo bhi ladta tha tere hak ke liye sabse,
Kya waise hi jese me ladta hu?
Mere kuch sawal he tumse
Par sawal puch saku is layak nahi hu me
Kya wo bhi daantta tha tujhe teri choti choti galtiyo par,
Kya waise hi tujhe jese me daantta hu?
Kya aise hi wo bhi tujh pr hak jatata tha,
Kya waise hi jese me me
jatata hu?
Kya uska TUM bolna jyada accha tha,
Ya mera TU bolna?

4 comments:

उड़ान

जब हौसला बना लिया ऊँची उड़ान का, फिर देखना फिज़ूल है कद आसमान का। पंख नही तो गम नही इस अज़ाब का, हौसले से संभव है सफर आसमान का। तेज आँधी आय...