Sunday 24 June 2018


ब्रिजेश की कलम से -

Jab tujhse bate ki,
Na jane kya ahsas tha
Dimag ki na suni in hatho ne,
Jese sab milkr kuch saajise kr rahe the mujhe tujhse milane ki
Na jane in hatho ko ab kya ho gya tha,
Yeh sunte hi nahi the ab bate mere dimag ki,
Aisa lag raha tha jese ranjishe kr rhe ho mujhse
Sab kuch u hi ajeeb sa chalta raha,
Aise hi ranjishe chalti rahi
Achank mujhe kuch ahsas hua,
Jese koi maujud he mujhme
Are yeh kya mera hath to ab jiski sunne lage the,
ye to wahi he
Mera dimag gusse me bola tu kon,
To wo anjaan pyar se bola tumhara dil
Aaj pahli bar is dil ki maujudgi mahsus ki.......
Yeh utna bura nahi tha,
Jitna me samjhta tha
Yeh to bada masum sa tha
Tujhse bato ka silsila ab u hi chalta raha,
Ab ahsas hua ki jese yeh dil kuch halchal krne laga tha
Yeh to dhadakan thi,
Ye to ek naya ahsas tha
Pr jo bhi tha,
Sab pahle se lajabab tha
Ab to tere khayal aate to,
Yeh dil chahak uthta 
Yeh dhadkane badh jati
Pr kuch samajh na aata aakhir yeh he kya,
Bada confuse tha yaar
Ab me bahut kuch badal chuka tha,
Mera yeh patthar dil pighal chuka tha
Ab dimag se jyada to,
Me apne is dil ki sunne laga tha
Aaj dil bahut khush tha,
Kyu ki tumhe kuch btane wala tha yeh
Kuch bechaini thi...
Kuch ghabrahat thi...
Pr khush bhi bahut tha,
Aaj tujhe sab kuch batane jo wala tha
Aakhir tujhe bol hi diya
I love u Paglu
                                    Brijesh Vishwakarma

No comments:

Post a Comment

उड़ान

जब हौसला बना लिया ऊँची उड़ान का, फिर देखना फिज़ूल है कद आसमान का। पंख नही तो गम नही इस अज़ाब का, हौसले से संभव है सफर आसमान का। तेज आँधी आय...